Dajjal" se Mutalliq Maloomat

*"Dajjal" se Mutalliq Maloomat*
---------------------------------------
*Dajjal ki Shakal (Face) Kaisi hogi?*
------------------------
👉 Right *Aankh (eyes) se kanha* hoga, or  *left Aankh thodi kharab hogi,* uske dono Aankh ke beech me *"Kaafir"* Likha hoga (jo sirf musalman hi pdh payenge jo kaafir hoga wo pdh nhi payega)

📚(Sahi Muslim:- 425,426)
📚(Sahi Bukhari:-1555)
📚(Sahi Bukhari:-3057)
📚(Sahi Bukhari:3355)

*Dajjal ke baal ghunghraaley honge*
📚(Sahih Bukhari :# 7128)
📚(Sahi Musilm:422)

👉 *us Waqat Arab ki tadad bhhut kam hogi.*
📚(Sahi Muslim:-7393)

*30 jhoothe dajjal phle paida honge wo apne aapko nabi ka dawa krenge.* (Maltb Asli Dajjal 30th hoga usse Pahle 29 Jhoothe Dajjal Aayenge)
📚(Sahi Bukhari:-3609)

*Dajjal ke sath wale logo ka Chehra (face) kaisa hoga*?
----------------------------------------
👉Unke chehrey (Face) *kooti hue (ya moti) dhalon ki tarah (chaptey) hongey.”*
📚(Ibn e Maja :- 4072)

*Dajjal makka or madeena me Dakhil nhi ho Sakta*
----------------------------------------
kyuki waha dakhil hone wale Raste par  *Farishte muqarrar hain.*
📚(Sahi Bukhari:-1881)
📚(Sahi Muslim:3350)

*Wo kis Traf se Aayega logo ke beech?*
--------------------------
*Wo Syrian sea (Mediterranean) or the Yemen sea (Arabian sea) ke beech se Aayega*

👉 *Wo iraq or sham ke darmeyan 1 Raste se nikal kar aayega.*

👆 Imam​​ Qurtubi​​ R.H​​ farmatey​​ hai​​ ke: baaz ahadees me​​ hai​​ ke wo *khurasaan* se​​ aayega jabkey baaz mein​​ hai​​ asbahan se khurooj karega in mein tatbeeq is tarah​​ hai​​ ke iskey khurooj ki ibtada khurasaan ke ilakey asbahan se​​ hogi​​ phir wo hijaaz ki taraf rukh karega jis ke liye shaam aur iraq ka darmayani ilaqa istamal karega.
👆 *Yeh ilaqay mashrik ki taraf hain. sabit huwa ke dajjal mashriq ki taraf "khurasan" ke ilaqey asbahan ke muhalley "yahooda" se kharij hoga aur hijaaz ki taraf shaam aur iraq ka darmayani "Regastani"  ilaqey ka safar karega.*
📚(Sahi Muslim:-7373)
📚(Sahi Muslim:7386)
📚(Sahi Muslim:7333)
📚(Sahi musilm:-7386)
📚(Ibn e Maja: # 4072)

👉 *Dajjal ke paas jo​​ bhi​​ taqat​​ hogi​​ wo sab​​ Allah​​ ki taraf se​​ aazmaish ke liye hogi. warna dajjal ki hasiyat​​ Allah​​ ke samne macchar ke parr​​ ke barabar bhi nahi.*

*Dajjal Aane ke baad kya krega?*
-------------------------------------------
👉 wo 1 *Qaum ko Apni dawat dega or wo sab us par iman layenge* or uski baat manenge usko qubool krenge,
👉 *fir wo  Barish ko hukum dega or barish barsayega.*
👉 *zameen ko hukum dega to Fasle ugengi.*

👉 fir wo *Doosre qaum ko dawat dega lekin wo uski baat Thukra denge,* to whaa "sookha" par jayega,*

👉 *Fir wo banjar zameen se fasal ugayega.*

👉 *fir wo insan ko maar kar zinda krega.*
📚(Sahi Muslim:-7373)

*70 hazar yahoodi Dajjal ki pairvi krenge.*
📚(Sahih Muslim:# 7392)

*Dajjal Jannat or Dozakh Dekhayega*
-----------------------------------------
👉 Wo 2 Jagah dekhayega or usko *Jannat kahega Asal me wo Dozakh hoga, or jisko Dozakh kahega Asal me wo Jannat hoga.*
📚(Sahi Bukhari:-3338)
📚(Sahi Muslim:-7372)

*Dajjal Duniya me "40" din Tak Rahega*
------------------------------------
👉 Aap​​ (ﷺ)​​ ne farmaya: *40 din jin mein se ek din ek saal ke barabar, ek din maah barabar, ek din haftey ke barabar hoga. phir baaki din aam dino jaisey hongey. (yaani ek saal 2 maah aur 2 haftey).*
👉 Sahaba​​ (R.A)​​ ne arz kia yaa RasoolAllah​​ Sallallahu Alaihay Wasallam! jo din saal barabar hoga is mein hum​​ Namazien kaisey ada​​ karenge? kya ek he din ki​​ Namazien hume kaafi hongi?​​ Aap​​ (Sallallahu Alaihay Wasallam)​​ ne farmaya:​​ nahi​​ balkay tum is (saaal) ka (Aam dino ke sath) andaza kar lena.
📚(Ibn e Maja Hadees # 4075)
📚(Sahi musilm:-7381)

*Dajjal ko Esa (As) kaha pe Qatal krenge?*
---------------------------------------
👉 Hazrat​​ Isa​​ A.S​​ jo dobara nazil ho chukey hongey wo 2 Farishto ke kandho par hath rakh kar aayenge.

Fajar ka Waqt hoga, Mehdi (As) imam honge, or Fajar ki Namaz padh wo apne sathi​​ musalmano ke saath mil kar​​ Dajjal aur is ke lashker se​​ jung​​ karenge. is​​ Jung​​ e​​ Azeem mein​​ Dajjal muqam-e-ludd​​ par Hazrat​​ Esa​​ A.S​​ ke hathon halak hoga.
📚 (Sahi Muslim:-7373)

*Dajjal aur is ke Lashkar ki halaqat*
---------------------------------------------
👉 Hazrat​​ Nafe bin​​ Utba​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke​​ Nabi​​ Kareem​​ (Sallallahu Alaihay Wasallam)​​ ne irshad farmaya: tum (musalman) ahle arab se ladoge​​ aur​​ Allah​​ Ta’ala​​ tumhe fatah se nawazega​​ phir tum faris (iran) se ladoge​​ aur​​ Allah​​ Ta’ala​​ tume fatah ata farmayega​​ phir tum ahle room se ladogey aur​​ Allah​​ Ta’ala​​ tumhe fatah se hamkanar​​ karega​​ phir tum dajjal se ladoge​​ aur​​ Allah​​ Ta’ala​​ tumhe is par fatah ata​​ karega.”
Hazrat​​ Nafe​​ farmatey​​ hai​​ ke​​ “Jabar! humare khayal mein dajjal room ki fatah se pehle​​ nahi​​ nikal sakta.”
📚(Ibn e Maja Hadees # 4091)

*Dajjal ke baad Esa As ki hukumat kitne din hogi?*
-----------------------------------
👉 Wo *"40 Saal" tak Hukumat krenge, unke Zamane me Islam ke Alawa Sare Mazaheb khatam ho jayenge.*
📚(Abu Dawood: # 4324)

*Dajjal se bada Fitana Fasad zameen par koi na hoga.*
📚(Sahi musilm:-7395)

*Dajjal se Panah Mangne ki Dua*
---------------------------------------
👈 *«اللهم إني أعوذ بك من البخل،‏‏‏‏ وأعوذ بك من الجبن،‏‏‏‏ وأعوذ بك أن أرد إلى أرذل العمر،‏‏‏‏ وأعوذ بك من فتنة الدنيا يعني فتنة الدجال وأعوذ بك من عذاب القبر»*

*Meaning:-* 👇👇
👈 *اے اللہ! میں تیری پناہ مانگتا ہوں اس سے کہ بدترین بڑھاپا مجھ پر آ جائے اور تجھ سے پناہ مانگتا ہوں دنیا کے فتنہ سے، اس سے مراد دجال کا فتنہ ہے اور تجھ سے پناہ مانگتا ہوں قبر کے عذاب سے۔“*
📚(Sahih Bukhari:- 6365)
( *हर बात दलील के साथ)*

 *Educate to Ummah*
Join Whatsapp group
 Send *add me* to this number *7559274581*

Comments

Popular posts from this blog

Kya Muharram Gam Ka Mahina Hai ❓

Islam Mai 'Aurto' ke Huqooq (Rights)